सीधे मुख्य सामग्री पर जाएँ
CheckMyOrder

यह पेज अभी सिर्फ़ अंग्रेज़ी में उपलब्ध है। हिंदी होम पेज पर जाएँ

Parcel safety & scams

Delivery Boy Extra Paise Maang Raha Hai? Prepaid aur COD Mein Kya Sahi Hai, Kya Galat

Prepaid order pe ek rupaya nahi, COD pe sirf utna jitna invoice pe likha hai.

By CheckMyOrder Blog TeamReviewed by Rajita KesarwaniPublished 1 min read

Jaldi jawab Prepaid order (pehle payment ho chuka) pe delivery ke time koi paisa nahi dena hota. COD pe sirf utna hi jitna order ya invoice pe likha hai. "Delivery charge", "fuel charge" ya "tip zaroori hai" bol ke extra maange tu mat do, aur shop ki app mein usi din complaint karo.

Prepaid pe 0, COD pe invoice jitna

Kab dena sahi hai, kab nahi

Situation Dena hai?
Prepaid order, kuch bhi maange ❌ Nahi
COD, invoice ke barabar amount ✅ Haan
COD, invoice se zyada ❌ Nahi, sirf invoice wala
"Delivery charge" jo checkout pe nahi dikha ❌ Nahi
Tip Aapki marzi, zaroori nahi
Customs duty (international parcel) Sirf official receipt ke saath

Kya karein

  1. Shaanti se mana karo aur kaho ki app mein amount dekh lo.
  2. OTP tab tak mat do jab tak parcel haath mein na ho aur sab sahi na lage.
  3. Parcel lene se mana kar sakte ho agar zabardasti ho rahi hai.
  4. Usi din complaint karo: shop ki app → Order → Help. Delivery boy ka naam/number aur time likho.
  5. Hal na ho tu National Consumer Helpline 1915 ya consumerhelpline.gov.in.

Ye scam bhi hote hain

  • Phone call ya SMS: "Parcel ke liye ₹25/₹50 bharo" aur link. Ye fraud hai. SMS scam checker se check karo.
  • "Galat OTP aa gaya, bata do": OTP sirf delivery ke time, parcel haath mein aane ke baad. Zyada jaankari: delivery OTP scam.

Parcel kahan hai, khud dekho

Tracking number CheckMyOrder pe daalo. Out for delivery hai ya nahi, khud dekh lo. Delivery boy ki baat pe poora bharosa karne ki zaroorat nahi.

Sources

CheckMyOrder Blog Team · Rajita Kesarwani and Akshansh Tyagi

Guides are written and reviewed by the CheckMyOrder team. Each article lists its sources and the date it was last reviewed by a person.

Reviewed by Rajita Kesarwani, Head of Digital Marketing & Content. Read how we write and check our guides on the About page.